DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 591,Hadees No :2421,

 

Hazrat Anas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Apne Bhai ki Madad karo,Chahe wo Mazloom ho Ya Zalim,to Hamne sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Ham Mazloom ki to madad karenge lekin Zalim ki madad kise kare ? To aapne farmaya :Zalim ko Uske Zulm se Rok do wahi uskeliye Madad hojayegi.
(Vol/2,Hadees No :2421),
Dars : Ye Akhlaaq e islam hai,ke Chahe Zulm kisi per bhi ho usko Zulm se mahfooz kana hai,aur jo Zalim hai,usko apne zulm se bhi rokna hai,warna Allah ka Azab bohat Sakht hai,jo us Zalim per Nazil hoga,phir wo DardNaak din guzarega,
●● Qiyamat ke Azmaayisho me is Hadees ko is liye bhi bayan kiya gaya hai,ke Log Qiyamat ke Qareeb Zulm hota dekh kar bhi Khamoosh rahenge,jaisa ke Har din dekha jata hai,ke Musalmano ki kitni bhi Jaane Chali jaye koi News Channel us khabar per Focus Nahi karta hai,aur us baat se Be Khabar hone ka Dhonk wa Natak karta hai,to ye sab baate qiyamat ki alamato me se hai,lekin Musalman ko ye taleem di gayi hai,ke Doosro ko tarah wo Zulm ko dekh kar khamoosh Na rahe Balke Zulm ko apni Taqat ke lehaz se roke to tab hi Musalman aur Doosro me Farq hoga.
Allah hame Zulm karne aur Sahne se Mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like