DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 592,Hadees No :2422,

 

Hazrat ibne Abbas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Jangal me Jakar Zindagi Basar karle to Usne Be Wafai ki,aur Jo Shikar karne me Lag jaye to Usne Ghaflat ko Chun liya aur Jo Badshaho ke Dar pe Hazir hojaye to Wo Azmayish me pad gaya.
(Vol/2,Hadees No :2422),
Dars : Hadees e Paak me Bandeh ke Zindagi ke Baaz Ahem Baato ke Ikhtiyar karne aur Chodne ke Bare me Bataya gaya hai,
●● Jangal me Zindagi : Jo Bandah Makhlooq se Rishtah Tod kar,Bus Dunya me Mast wa Magan rahne keliye Jangal ya Weeran Jaha Aabadi na ho waha ja kar zindagi Guzare to usne Makhlooq wa Khaliq dono se Be Wafai karne wala hoga,
Haan,Jo Bandah Makhlooq se Rishtah todle aur Khaliq se Rishtah Jodle jis tarah Awliya Alllah(Allah ke Dost) karte hai,to yahi Haqeeqat me Wafa Daari hai,kyu ke Jo Khaliq se Rishtah Jod leta hai,to Har Koi Uska hi hojata hai,Ab inme Todna Jodna kuch Meaning Baaqi Nahi rahti hai,Bus Sabko Rab se Milana hi hota hai,
Ab Is Daur me to Baaz Log Jangalo me to Nahi rahte hain,Balke Bade Apartments me hi rahkar Apno se is tarah Rishtah tod lete hain,ke ayse Mahsoos hota hai,ke ye to Jangalo se bhi ziyadah Door rah rahe ho,to ye bhi Apno se Aur Rabb ki Taleem se Be Wafai samjhi jayegi..!!
■■ Shikar Waqti taur per karlena Bura Nahi hai,Balke Har Din Shikar ko Apna Mashghalah Bana lena Sahi Nahi hai,Jo Ghaflat ki taraf lejayega,
☆☆ Jo Bandah Badshaho ke Darwazeh per jayega to khud ko Azmayish me daal lega,
Ab is daur me Baadsha to kam hai,to us se murad Maal Daar log aur Baaz Siasat Daan(jo Maghroor Wa Daulat Mand etc..ho) bhi lesakte hai,inse Jitna Bach kar rahe utna hi behter hai,jo Doosro ka kaam Bohat hi kam karte hain,aur Apne hi kaam me tawajjuh ziyadah dete hai,Jab koi Baat unke Khilaf nikal jaye to Badlah lene pe apna Sab Kuch laga dete hai,jo ke is mukhtasar si dunya me kuch kaam aane wala nahi hai.
Allah hame is per Amal ki taufeeq naseeb farma..Ameen.
Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like