DOOSRI RAKAT KE BAJAYE TEESRI RAKAT ME QADAH…?

Sawal : Assalamwalaikum Moulana…. Qhairiat..????
4raakath sunnath namaz padthewaqt 2rakath me gap deena hai…..
Magar bhul jaake 2raakath me gap nahi deye.. 3raakath me chalegaye… Moulana saahi hai ya nahi…
Our 3raakath me AATIYATHU paad sakthe Kya.. ?????
(Mohd Ghause Pasha),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Agar koi 4 Rakaat wali Namaz me 2(2nd Rakat) Rakaat ke Baad Qadah Bhool jaye phir Teesri Rakaat(3rd Rakat)me Qadah karle aur Chavthi(4th Rakat) Rakat me Qadah karle to Ab Akhiri Rakaat me Sajdah Sahoo karna Wajib hoga,kyu ke Doosri Rakaat me Qadah karna Wajib hai,lehaza Jab wajib Apne Maqam se choot jaye ya usko Doosre Maqam(jaise teesri Rakat) me ada kare to Taghyeer e wajib ke tahet sajdah Sahoo wajib hota hai,agar koi Sajdah Sahoo Na kare to Us Namaz ko Lautana(Dobarah ada karna) Wajib hai.
(Al Hidayah,Vol/1),
Note : Maghrib ke Teesri Rakat me Qadah karna Farz hai,kyu ke usme 3 hi Rakaat hoti hain,
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like