DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 508,Hadees No :2224,

 

Hazrat Usman Bin Abul Aas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) hamare Ghar Tashreef laye to Us waqt mere Badan me Bohat Dard tha to Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Badan me Jis Mawam Per Dard(Pain) ho to Ye Dua Padh kar 7 Baar Us Maqam per Dum kardo :
أعوذ بعزة الله وقوته من شر ما أجد
“AWUZU BI IZZATILLAHI WA QUVVATIHI MIN SHARRI MA AJIDU”
Raavi ne Kaha ;Maine isi tarah kiya to Mere Badan ka Saara Dard Khatam Hogaya(Subhan Allah) to Maine wo Noskha Mere ghar walo aur doosre logi ko bhi bataya.
(Vol/2,Hadees No :2224),
Dard : Aaj Har Umer Wale(age) ko Bafan me Yani Back Pain,Muscles Pain,Leg pain,Neck Pain,Knee Pain etc…hona Aam aadat Ban gayi hai,jisme Saare log Pareshan Haal bhi hai,Lekin Rahmat Wale Aaqa Sallallahualihiwasallam ne Apni Ummat ko is Haal me bhi Tanha Nahi choda Balke Pareshan Ummat ko Dardo se Rahat wale Noskheh ata farmaye hain,Ham isko Apni zindagi me apnaye to Sawab ke saath Rahath bhi Insha Allah Zaroor Naseeb hogi…
Allah saari Ummat ko Har Qisam me Dardo se mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like