ETEKAF KI HALAT ME MASJID SE BAHER JANA ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Jo etekaf me masjid me rahe aur wo kisi kaam se masjid se baher nikal sakta hai ?
(Mashkoor,)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Etekaaf ki Halat me baghir ki zaroori wajah ke masjisd se baher nikalne se Etekaaf toot jata hai,
Haan,agar koi Khaas zaroorat ho jaise..Masjid me Jumah ki Namaz Nahi hoti hai,to Doosri masjid me jakar Namaz padh sakte hai,ya Toilet Masjid me Na ho to Kisi doosre maqam per jakar zaroorat poori karsakte hai,masjid ke baher aag lag rahi ho,kisi ki jaan ka khatrah ho,aur aag bujhane wala koi Na ho to jakar aag bujha kar aasakte hai,etc…
Wazeh in saare kaamo me jo masjid ke baher hi hoskte ho,to waqti tour per kaam karke Dunya ki baate kiye baghir ajana hai.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H;no:1894),

You might also like