URINE KE QATREH TO GHUSL YA WAZOO ?

Sawal: Assalamualikum,mufti sahab,
ek sawal hai apse K agar urine K khatreh nikal jae toh pani nahana zaruri hai ya phir adheh badan Se naha sakteh kya is ka jawab dijiye plzzzzz
(Mohammed Junaid),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,.
Urine ke Khatre Nikal jaye to dekhe ke unki miqdar 1 sikkah(jaise 1 rupee ka sikkah hota hai) ke barabar ya us se ziyadah huvi ho to ab un kapdo me Namaz Nahi padh sakte hai,kapde badal le phir Taharat ke maqam ko saaf karke phir se wazoo banale to kaafi hai,Ghusl(Nahana ) ya Aadhe Badan se Nahana zaroori Nahi hai,
(Dil mutmayin Na ho to Ghusl karle to koi Haraj Nahi hai,magar Ghusl karna wajib Nahi hai)
Haan,agar wo Peshab ke Khatre 1 sikkeh se kam ho to wazoo banakar uhi kapdo me Namaz ada karsakte hai,Namaz to hojayegi Magar Makrooh hogi,doosre kapde pahnekar Namaz padhe to ziyadah behter hoga.
(Sharh ul Wiqayah,Vol/1,Pg/35..60).

You might also like