GAYE(COW) KA GOSHT AUR BEEMARI ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Maine ek Video me dekha hai,ke usme bataya gaya hai,ke Gaye(cow) ka gosht khane se Beemari hoti hai ? Aur wo kah rahe hain,ke ye hadees se Sabit hai ,Kiya ye sahi hai ?
(Mohd Sirajuddin),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Gaye(Cow) ke gosht me Beemari hai,khana Sahi nahi hai,kyu ke agar us janwar me Beemari hoto to Deen e islam me usko Khana hi “HARAM” qarar diya jata hota lekin aysa Nahi kaha gaya lehaza JAB Gaye ka Gosht Halal hai,to usme Beemari Hargiz Nahi hai,kyu ke Shuru se hi Deen e islam me gaye ke gosht ko istemal kiya gaya hai,Hazrat Moosa Aliahissalam ke daur me bhi Gaye(Cow) ko zubah karke sadqah Dene ka hukm aya hai,
(Al Quran,Vol/1,Surah Baqarah:27),
Agar usme Beemari hoti to Usko zubah ka hukm bhi Nahi diya jata aur Na hi quran me uske Naam se kamil surah rakha jata,
●● Jis Video me Hadees se sabit hai,kaha hai ,,Wo Hadees siha Sittah me maujood hi Nahi hai,
Haan,agar Farzi taur per Hadees ko maan bhi le to Uski tashreeh ye hogi ke kisi bhi Halal Janwar ka gosht Kasrat ke saath aur rozanah istemal kare to us se thoda bohat Sehat pe Asar to zaroor padega usa matlab Hargiz ye nahi ke wo gosht hi Na Paak aur Beemari paida karne wala hai,Kahna sahi wa Munasib Nahi hai.
Note : Iska matlab ye Nahi ke aap har din gaye(Cow) ka gosht khavo,Balke bus shakk ko door karna hai,
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like