DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 379,

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Nekiyo me se Sabse Behtreen Neki ye bhi hai,ke :Awlaad Apne Walid ke Sathiyo(Friends) Ke Saath Husne Sulook kare.                                                   (Vol/2,Hadees No :2025),

Dars :Walid ke saathiyo se jaise Walid Ba Hayzat hote hain,tab ehteram wa izzat karte hai,usi tarah walid ke inteqal ke baad bhi unke Dosto se Ehteram wa izzat se pesh aana chahiye aur Zaroorat pade to unki Maali Madad bhi karni chahiye,.kyu ke Unke Rishteh ki Nisbat walid se judi huvi hai,to us Nisbat kk tazeem bhi zaroori hai,aur ye tazeem ka Amal walid ke Rooh ko Sukoon wa Rahat ke sabab hoga..
Allah hame walidain ke Saathiyo ke saath Husne sulook karne wala banaye.Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like