HAFIZ KI PEECHE ALIM KI NAMAZ KA HUKM

Sawal : Assalamualikum ,Mufti Saheb,
Hamari Masjid Ek Hafiz saheb imam hai,jumah ki bhi wahi Namaz padhate hai,to kiya unke peeche yani unki iqteda me Alim saheb ki Namaz hojayegi ?
Iska kiya hukm hai ?
(Soofi Akhter saheb),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Jab Hafiz saheb aapke Mohalle ki Masjid ke Imam wa Khateeb hai,to unke peeche Alim saheb ki Namaz hojayegi,Aysa zaroori Nahi ha ke Hafiz saheb ko chod kar Alim saheb ko Namaz padhane keliye aage badha de kyu ke Hafiz saheb “IMAM” hai,lehaza Namaz padhane ke haq unko hi rahta hai, haa agar imam ijazat de to doosre padha sakte hai,
Ye baat wazeh raheke Alim ka darjah Hafiz se ziyadah hai,magar yaha imamat ki baat hai,awr iska hukm awr hai.
(Tirmizy,Vol/1,H.No-235),
Plz..read and share it.

You might also like