HAJJ ME SILA HUVA KAPDA ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Jo Bandah Hajj kar raha ho to kiya Wo sila huva kapda Nahi pahen sakta ? Aur uski kiya Hikmat hai ?                                         (Mohammed Nawaz)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Hajj ke dauran Halat e Ahram me Sila Huva Kapda pahne ne Ki Ijazat Nahi hai,Kyu ke Hadees me is se Mana kiya gaya hai,
Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha ke :
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) se Hajj karne wale ke kapdo ke bare me sawal kiya gaya to ?
Aap ne Hajj karne wale ko ” SILE HUVE Kapdo,Amamah ,sile huve chappal wa joote pahenne se mana farmaya hai.
(SAHI MUSLIM,Vol/1,Kitab Ul Hajj)
● Is me hikmat ulama e kiram ne ye batlayi hai,ke bandah jab rabb ke darbar me jara ha ho,to mukammal aajizy wa inkisari ke saath hazir ho,lehaza ayse libas me Ameero keliye bhi ye dars hai,ke kitna paisa kyu na rabb ke saamne bandah ” MOHTAAJ” hi hota hai,lehaza dunaya ke mohataaj bando ka mazaq Na udavo,awr N hi unko neechi Nigaho se dekho,

You might also like