DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :174,
Hazrat Sahal Bin Sad(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasoole Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jab Hajj karrne Wala Talbiyah(Allahumma Labbaik La Shareeka Laka Labbaik….) kahta hai,to Uske Seedhi (Right) Janib,aur Bayi(left) Janib ke Patther,Darakht aur Kankar Bhi Talbiyah padhte hai,aur Unke saath Zameen bhi Harkat karne lagti hai.
(Vol/1,H,No :836),
Dars :SubhanaAllah Talbiyah ki bhi kiya Fazilat hai,ke Uske kahne wale ke saath Aas paas ki saari Cheeze bhi talbiyah padhti hai,aur us per Allah ki Rahmath bhi Barasti rahti hai,
Lehaza Hajj karne walo ko Chahiye ke wo Her waqt Talbiyah padhtr rahe to us se Hajj ki Nooraniyat aur Roohaniyat dono Naseeb honge,Aur Dunya ki Baato se Door rahe to Hajj ke Ibadat ki Lazzat bhi Naseeb hogi..insha Allah..
ALLAH Sab ko Hajj Naseeb kare..Ameen