INTEQAL ! 40 SE PAHLE EID ?

Sawal :Assalamualikum mufti sab,hamare daada ke bhai ki biwi jo k daadi hote hi unka inteqal 2 din pahle hua hi,to kya 40 din honetak “Naye kapde” nahi pehann na kya? aur Eidul Azha karsakte ya Nahi ? sheerqurma eid k din banasakte? ya nahi? qurbani desakte ya nahi mudallal jawab dijiye ?

(Mohammed Adur Rahman)

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.. Kisi ke Ghar me Apne Khaas rishtehdar ka inteqal hojaye to Saare Khandan wale 40 Din Tak Eid Na karna aur Shadi waghirah ki Taqreeb Na karne ka Jo Rivaj hai,Iska Shareeat se Suboot Nahi milta hai,

Kyu ke Hadees e Paak me Aya hai,ke Kisi Aurat ko ye Halal Nahi hai,ke wo 3 Din se ziyadah kisi ke Maut per Sog(Gham me rahna ) manaye,magar jis Khatoon ke Shohar ka inteqal hojaye to 4 Mahineh 10 Din Iddat Guzare,aur Usme Khushboo,Mahendi aur Zeenat ki cheeze istemal Na kare.

(Sahi Bukhari,H,No:5314),

To is hadees me Sirf Bivi ka zikr aya hai,aur saare Khandan walo ka ye karne ka hukm nahi diya gaya hai,wo bhi Zahiri Zeb wa zeenat ki Cheezo se us Aurat ko mana  kiya gaya hai,take Fitnoh se mahfooz rahe,isme Eid se Nahi roka gaya hai, Lehaza Aap ne jo Bayan kiya hai,us lehaz se aap apne ghar me Eid ul Azha ki taqreeb karsakte hai,Qurbani bhi de sakte hai,aur karna bhi chahiye.. 40 Din ke ander Shadi bhi karsakte hai.

(Al Inayah,Vol/4,Pg/160)

You might also like