LANAT KARNA ?

Hazrat Ibne omer(raziyallhauanhu) se rivayat hai,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Doosro ko Lanat (bura kahna ,be wajah daantna,Bud duwa dena,,,) karna ye Momin ki sifaat(quality) me se nahi hai,

(jamiut tirmizi,vol/2,pg/22),

To Jo taqatwar hai,usko bhi chahiye ke wo kamzor per zulm Na kare ,apni taqat per takabbur na kare,warna Mazloomo ki Bud Dua bhi jald hi qubool hoti hai,

aur Baghir kisi sabab ke doosro ko unki taraqqi ki bunyad per Tana dena bhi Momin ki sifat Nahi hai,

Doosro ko Bud dua dena bohat aasan hai,magar Dua dena bohat Mushkil hota hai,magar doosre Amal se Allah dua karne wali ki Murad ko pahle Qubool karta hai.

You might also like