INTEQAL KE BAAD GHAR ME EID ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
agar kisi ke ghar me kisi ka inteqal hojaye to kiya 1 saal tak us ghar me eid awr shadi ki taqreeb karna jayiz nahi hai ?
iska kiya hukm hai,kyu ke aksar log is cheez ko follow hote hai ?
(shaik faizaan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
jab kisi ke ghar me kisi ka inteqal hoto 1 saal tak eid ya shadi awr uske alawah dawat na karna ye islam ki taleemat me se nahi hai,balke ye awaam ki jahilana rusoomat hai,iska islam se koi ta alluq nahi hai,
haa,fitri taur per ek gham zaroor hota hai,awr apna khushi ke mauqo pe yaad ata hai,uska matlab ye nahi hai,ke is khushi ko manana na jayiz nahi kah sakte ,
sab eido ke wa dawato ke karne ki ijazat hai.

You might also like