ISLAM ME MATAM KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,mufti Saheb,

Moharram aur uske alawah jo Matam manane ka islam me uska kiya hukm hai ? iski Wazahat farmaye to Ain e Nawazish hogi.

(Mohammed Mashood),

Jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,,

Moharram ho ya Uske alawah awqaat me MATAM yani Museebat me ya museebat ko yaad karte huve Ro Rokar apne Girehban phad lena aur Apne Rukhsaaro per Maarte rahna aur apne seeno ko thokna Haatho se Ho ya Chaqoo se ye sab kaamo se Islam me Mana hai,wo Jayiz Hi Nahi hai,kyu ke Rasool e Akram(sallallahulihwasallam) ne farmaya : Jo Museebat me Apna Girehban Phadta ho ya apne Gaalo per Marta ho aur rota hoto aysa Shaks HUM ME SE NAHI HAI.!!!!!

(SAHI BUKHARI,VOL/1,H,NO :1212),

Hum sabko in kaamo se bachna aur apne ghar walo ko bhi bachana hai.Haan,Moharram  ke Mahineh me Jo shahadat huvi hai,uska to gham aur Takleef dil me hoti hai,magar uska izhar is tarah karna sahi nahi hai.

You might also like