ISLAM ME RUQYAH KA HUKM ?

Sawal :Assalam alaikum,Mufti sab
Ruqya ke barey jamia nizamia key ulema kabhi Bhi ni bataai awaam Ku
Meharbani hugi Zara roshini Daley tu es pey group mein faida Utah sakey sab
Husakta batai hungey mi ni suna huga shayed
Hadees sey sabit hi tu reference Bhi dijiye
(Mohd Ishtiaq saheb),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Ruqyah(Yani Qurani Ayaat ya Dua e Masoorah ko padh kar Mareez per dum karne ka Naam hai) jo Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ke daur se hi sabit hai,jaisa ke Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) farmati hai,ke Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Khud apne Aap per(Ummat ko Takeem dene keliye) Surah Falaq aur Surah Naas padh Dum karliya karte aur Jab Aap Sakht Beemar hote to mai bhi un Suro ko padh kar Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ke dast e mubarak per phoon kar aap hi ke dast e aqdas se aape badan per dum kiya karti taake aapke Haatho ke Barkat hasil hojaye.
(Sahi Bukhari,Vol/2,Hadees No :5735),

*5735 – ﺣﺪﺛﻨﻲ ﺇﺑﺮاﻫﻴﻢ ﺑﻦ ﻣﻮﺳﻰ، ﺃﺧﺒﺮﻧﺎ ﻫﺸﺎﻡ، ﻋﻦ ﻣﻌﻤﺮ، ﻋﻦ اﻟﺰﻫﺮﻱ، ﻋﻦ ﻋﺮﻭﺓ، ﻋﻦ ﻋﺎﺋﺸﺔ ﺭﺿﻲ اﻟﻠﻪ ﻋﻨﻬﺎ: «ﺃﻥ اﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ اﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻛﺎﻥ ﻳﻨﻔﺚ ﻋﻠﻰ ﻧﻔﺴﻪ ﻓﻲ اﻟﻤﺮﺽ اﻟﺬﻱ ﻣﺎﺕ ﻓﻴﻪ ﺑﺎﻟﻤﻌﻮﺫاﺕ، ﻓﻠﻤﺎ ﺛﻘﻞ ﻛﻨﺖ ﺃﻧﻔﺚ ﻋﻠﻴﻪ ﺑﻬﻦ، ﻭﺃﻣﺴﺢ ﺑﻴﺪ ﻧﻔﺴﻪ ﻟﺒﺮﻛﺘﻬﺎ*
Ji..Haan.Alhamdulillah Jamia Nizamia se iske Baare me kayi fatwe bhi diye gaye hai,
Aur mazeed tafseel keliye aap www.anwaaruluslam,com per visit karke bhi hasil karsakte hai.

You might also like