DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 466,Hadees No :2150,

 

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Qiyamat ke din tum me se mere Sab se ziyadah Qareeb wo shaks hoga Jiske Akhlaaq Ache ho,aur Sab se ziyada Door aur Mabghooz wo Log honge jo Ziyadah Baate Karte ho,Be Fuzool Baato se Logo ko Pareshan karte ho,aur Takabbur karne wale.
(Vol/2,Hadees No :2150),
Dars : Ache Akhlaaq Bandeh ko Uske Walidain se aur Halal Maal ke Istemal se Naseeb hote hai,Walidain ki Achi Tarbiyat wa Ghar ka Deeni Mahol,aur Halal Maal se bhi,kyu ke Halal Maal ka Har Niwalah wa Loqmah Noor se Bhara huva hota hai,jis ka Asar Khane wale ke Akhlaaq per Hota hai,ke us se wo Ba Akhlaaq hojata hai,
Yaad Rahe Insaan ke Marne ke Baad uske Maal wa Badi badi Buildings ko Kuch Din tak hi yaad karte hai,aur Wo Bhi Aksar Bure Alfaaz se…..!!!!
Lekin Jo Ache Akhlaaq wala Bandah hota hai,usko uske Marne ke Baad hi Nahi Balke Har Maqam wa Mauqeh per Misal(ex…) bhi dete rahte hai,jis ko sunkar Rabb bhi khush hota hai,aur us Bandeh se Raazi hojata hai,
Allahu Akbar Kabeera…..
●● Ziyada Baat karne wala jinki Baato me kisi ko faidah Na ho,aur Bekar Baat karne wala Jaise Mazaq ,Dillagi etc..ki Baate,aur Apni Har Choti ya badi Cheez,ya Zubani takabbur karne wala gharz ye log Qiyamat me Nabi e Paak sallallahualihiwasallam se ziyadah door honge to samajhlo ke in se ziyadah Saare Aalamo me Bad Bakht Na honge…
Allah hame Mahfooz kare aur Qiyamat me Qurbat e Mustafa sallallahualihiwasallam Naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like