KHATNEH KE BAGHAIR AQEEQAH ?

Sawal : Assalamualaykum mufti sahab kaise hai aap
Mera sawal ye hai kya ladke ki KHATNA karey bagair AQIQAH karsakte kya aur AQIQAH ka Janwar kaise hona chahiye .
Jawab inayat farmayega
Jazak Allah khairan
(Mohammed Waseem)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Chote Bache ki Khatnah kiya Baghair bhi Aqeeqah karsakte hai,kyu ke Aqeeqah keliye khatna karvana Shart Nahi hai,Aqeeqah Wiladat ke 7 we din karna Sunnat hai,warna Zindagi me kabhi bhi karsakte hai,
Aqeeqeh ka Janwar Kam se Kam 1 Saal ka hona chahiye Ladke keliye 2 Bakre/Bakriya aur Ladki keliye 1Bakra/Bakri,Ya Janwar 1 saal se kam ho magar dikhne me 1 saal wale janwar ki tarah nazar ata ho us janwar se bhi Aqeeqah karsakte hai.
(Al Binayah,Vol/2),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

 

You might also like