DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 550,Hadees No :2350,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kisi Shaks ke Darr ki Wajah se Haq Baat Kahne mat Ruko Balke Haq kaho,Lekin Jab Log kisi ke Darr se Haq Baat Kahna Chod de to Samajh lo ke Qiyamat Qareeb hai.
(Vol/2,Hadees No :2350),
Dars :Ye Guzishtah Hadees ka hissah hai,ke Qiyamat ke Qareeb log kisi ke Darr ki wajah se Haq Baat kahna Chod denge ke agar Haq Baat kahenge to Wo uska Badlah lega ya us se faidah Hasil karne keliye Haq Baat Chupayenge..
●● Aaj Kal ka Social Media jisme Aksar News Channel ho ya koi Doosre Zaraye Jo Hukoomato ke Darr se aur unse Hasil kiya jane wale faido ko Nazar me rakh kar Haq Baat ko Zahir Nahi karte hai,Balke Jo Maal daar ya Taqatvar kahe wahi Show karte hai,Khaas Kar Jab Musalmano ki Baat aato hai,to Saara Media Andah wa Bahra hojata hai….!!Use Musalman per Kiye jane wale Zulm wa Qatl dikhayi nahi dete to pata Chala Qiyamat qareeb hi hai,ye Unki Waqti Be Faidah Harkate hain,to hame Akhirat ki tayyari karna hai,
■■ Ek Dooari Hadees me aya hai,ke Sabse Bad Tareen insaan wo hai,jiske Sharr se Bachne keliye Log us se Baat karna Chod de..to Jo Log Apne aapko doosro ko Dara kar aur Dhamkate rahte hai,wo Bad Tareen log hote hai,jinka Akhirat me Bohat hi Bura Anjaam hoga..
Allah hame Haq Baat kahne aur us per Amal karne ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like