DARSE JAMIUT TIRMIZI.CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 550,Hadees No :2350,

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jo Jitna Dunya me Dhoka dega Us lehaz se hi Ek Jhanda(flag) uske Saath Qiyamat me hoga,aur jo Badsha ko Dhoka dega to uske Peeche ke Maqam me jhanda lagaya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2350),
Dars :Ye bhi Guzishtah Taveel hadees ka ek Hissah hai,ke Deen e islam ne Har kisi ko Dhoka dene se Mana kiya hai,chahe wo kisi bhi Mazhab ka kyu na ho dhoka dena jayiz Nahi hai,jiska Wabal usi per kisi na kisi Din laut kar ayega..
■■ Jo Dhoka deta hai,to us per Log Dunya me hi Bharosah karna Chod dete hain,wo Be Bharosha Mand shaks ki Zindagi guzarta hai,koi us se Moamlah Nahi karta hai,taake uske dhoke ke sharr se bache..jo uskeliye Sab se Badi zillat hai,
●● Maidane Hashr jo Sabse Bada Imtehan ka maqam hai,waha Har koi Pareshani wa Haibat ke Aalam me hoga,us waqt Dhoke Baaz ke Paas uske Dhoke Baaz hone ki Alamat ke taur per ek Jhandah hoga aur jo Badsha wa Ameer ko Dhoka dega to uske Peeche ke Maqam me jhanda laga jayega jis se usko Badi Zillat bhi hogi aur Shadeed Takleef bhi,aur usko uske Badleh Jahannam me dala jayega..
Allahu Akbar Kabeera..!!
Allah hame Dhoka dene aur Dhoka khane dono se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like