MAA KO FARISTAH KAHNA ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti sahb,
Maa ko farishtah jaise alfaz ka istemal ka kiya hukm hai ?
(Junaid Javed),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Har Zaban ka ek andaz hota hai,aur us zuban ke kuch mohavare hote hai,aur un Muhavaro aur misalo ko apne apne tareeqo se log istemal karte hai,to isi tarah “MAA KE LIYE LAFZ FARISHTAH KA ISTEMAL SAHI HAI”
jaise kahte hai,Mere Maa farishta hai,ya koi Museebat ke waqt kaam ajaye to kahte hai,ke Farishte ki tarah akar madad kardiye…
Etc..to Maa ko farishtah kahne se murad ye hai,ke.MAA FARISHTEH KI TARAH APNE DIL SE AUR FIKAR SE PAAK HOTI HAI.
ye murad hota hai,na ke Haqeeqi farishtah balke sirf us se farishte ki sifat(quality) murad lete hai,jaisake kisi bahadur insan ko “TIGER” khate hai,to uska matlab Wo bahadur hai,nake Jangal ka Sher…

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like