MAAL KA KAMAL AUR MAAHE RAMAZAN

Insaan Ki Zahni wa Fikri Taqat wali Cheezo me se Ek Cheez Uska Kamaya huva Maal hai,jis ki Haqeeqat ko Bohat Baad Apne Tajrubo wa Thokaro ke Zariyeh Pahchanta hai,lekin Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne uske Muta’alliq Aasan Alfaz me Bata diya ke :
Insaan Hamesha Kahta Rahta hai,ke Mera Maal,Mera Maal lekin aap Sallallahualihiwasallam ne farmaya : Insaan Ka Maal wahi hai,jo Wo Sadqah Kiya Aur Alhirat keliye Bhej diya,Jo Khaya wo Fana hogaya aur Jo Pahna Wo Boseedah Hogaya.
(JAMIUT TIRMIZI, Vol/2,Hadees No :2513),
To Hadees e Paak ka Muskhtasar Khulasah ye ke Hame Chahiye Ke Apne Maal ko Ba Kamal Banaye aur wo Usi waqt Hosakta hai,jab hum usko Deeni Kaamo,Insaani Falahi Umoor aur Ghareebo ki Madad,etc..me Kharch kare to hi wo Kamal wala hoga warna Wo Akhirat me Wabal hola hoga..!!
●● Jo Maal Kapdo me Laga Maal bhi khatam aur Kapde bhi..Baaqi kuch Na raha,to Is Saal2020 Eid ul Fitr ko Madde Nazar rakhte huve ye bataya Ja raha hai,aur Dunya wa Bil Khusoos Mulk e Hindustaan ke Halaat ko dekhte huve Hame Chahiye ke Eid ko Saadhe(simple) Andaz me manaye aur Jo Kapdo aur Doosri Khareedari ki Raqam Bach jaye to Usko Ghareebo me taqseem Kare aur Hamare Deen ke Qileh yani Deeni Madraso la bhi zaroor khayal rakhe kyu ke Deeni Madaris la Daromadar Ummat ke Taavun wa Maali Madad per munhasir hota hai.
●● Jab Is Waba ne Hame Ramazan me Umreh,Masjido me Namazo wa Taraveeh,aur Seher wa iftar ki raunaqo etc..se Roka hai,to hum bhi usko Allah ki Mashiyat samajh kar Eid bhi Saadgi se Manayenge aur kasrat taubah wa isteghfar padh Rabb ko manayenge insha Allah, aur Hamare Maal ka kisi Muslim Dushman Na Nahi banayenge jo Aksar Ghair muslimo se khareedari se hota hai,
Allah hame Corona VIRUS se Bachaye aur Hame Shareero ke sharr se Bachaye..
Plz share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com

You might also like