DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 749,Hadees No :2652,*

Hazrat Abdur Rahman Bin Auf (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hume Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ke Saath Tangdasti me aaazmayish Aayi to Hum Us per Sabr karliye aur Jab aapke Baad hame Khush Haali se Aamaya gaya to hum us per Sabr Nahi karsake.
(Vol/2,Hadees No :2652),
Dars : Insaan ke Zindagi ke 2 Ahem Marhale hote hai,jin me Ek Bad Haali(Tangdasti,Museebat etc..) aur Doosri Khash Haali..
Pahli Halat Sabr aur Doosri Halat Shukr ki dawat deti hai,aur jo iski is Dawat ko qubool karle to wo kamiyab aur Ba izzat rahega aur jo isko thukrade wo Na Kaam wa Na murad hojayega,
●● Bad Haali Allah ki taraf se Ek Waqti Azmayish hoti hai,us per Sabr karne se Bandah Rabb ka Mahboob hojata hai,aur Agar wo Sabr ko Chod kar Shikwah wa Shikayat me rahega to Allah ke Paas Mabghooz yani Na Pasandeedah hojayega,
■■ Khush Haali ye Allah ki Nemat bhi hoti hai,aur Kabhi Azmayish bhi Aksar ye Azmayish hi hoti hai,jis per Bandah Shukr kare to uski Azmayish me kami aur Nemato me izafah hota hai,aur agar Na Shukri kare to Azmayish me Mazeed izafah aur Nemate Cheen li jati hai..!!
Allah hame Sabr wa Shukr guzar bandah banaye..Ameen Ya Rabbi
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like