MAGHRIB KI TEESRI RAKAT ME MILE ?

Sawal : As salamualaikum mufti sahab Else Sawal hai ke agar namaz e margib ki aaqari Rakat main Jamaat mile to iske bad do bar tashahud main baitna padta …. Iska jawab farmayiye mufti sahab,

(mohd imran qadeeri qadri),

Jawab: Walikumassala wa rahmatullah,,Maghrib ki Aakhiri (Teesri) Rakat me Jamat me shareek ho aur wo rakaat mil jaye yani Ruku se pahle jamat me sharee k hojaye to Ab baad ki 2 Rakaat me sureh fateha aur zammah surah( jo surah yaad ho) padhna hoga aur 2 Rakaato me 2 Qadeh( 2 tashahhud) me Baithna zaroori hai.
( Sharh Ul wiqayah,vol/1,45..80)
You might also like