Tarjamah E Qur’an ko Baghir WAZOO chone ka Hukm

Sawal :- Qur’an ki Tarjamah (Urdu,Farsi,Hindi,Telugu,etc) jo koi bhi Zuban me ho kiya WAZOO ke baghair pakad sakte ya padh sakte hai ?

(Md Zameer,mbnr).

Jawab :- Qur’an ka Tarjamah Dunya ki jo bhi zuban me ho ,usko Baghair WAZOO ke Chuna,pakadna, ya padhna “MAKROOH” hai.
Kyu ke Tarjumah ka Matlab hai,wo Quran ka Mafhoom hota hai,mufassir apne andaz me bayan zaroor karta hai,magar usko Nisbat Allah ke Kalam se hoti hai,to hame us Nisbat ka lehaz bhi karna hai.

(Fatawa Hindiyyah,V/1 ,pg/50)

You might also like