MAREEZ KA MARAZ

Hazrat Uqbah bin Aamir(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahuallihwasallam) ne farmaya : Tum Mareezo ko khane keliye zabardasti mat karo,kyu ke jab Bandah e Momin beemar hota hai,to Khud
Allah us beemar bandeh ko khilata hai,awr pilata hai(roohani ghiza).
(Jamiut tirmizy,vol/2,Pg/24),
note ..maloom huva ke Beemari bhi Allah ki ” NEMAT” me se hai,ke Allah ka usper khas karam hone lagta hai,to beemari per Shikayat nahi balke Sabr karna chahiye ke Wo Allah ki khaas Rahmat me shamil hojata hai,jab ye Ehasaas beemar shaks me ajaye to wo Sabr ke saath Shukr bhi bajalayega aur yaad rahe jo Museebato me sabr aur Khushiyo per Shukr Baja lata hai,to ye 2 Bande JANNAT me jayenge.

 

You might also like