DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 445,Hadees No :2113,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Behtreen Wo Bandah hai,Jo Apne Haqeeqi Rabb ka Haq Ada kare aur apne Dunya ke Arzi Malik(Boss) ka bhi Haq ada kare.
(Vol/2,Hadees No :2113),
Dars : Bandeh keliye Deen Maqsad e Hayat hai,Aur Dunya Zariyah e Hayat hai,lehaza Bandeh ko Deen aur Dunya Dono ko lekar chalna hota hai,isiliye Bandahe ko Behtreen Ban na hai,to Apne Haqeeqi Rab(Allah) ki Ibadat wa Hukm ilahi per Amal karke uske Haq ko ada kare,
Aur Dunya me jo Zariyah e Ma’ash me laga ho to wo apne Malik
(Boss,Manager,etc… ) ki baato per bhi Amal kare to wo Dono ka Haq baja lane wala samjha jayega aur Sabse Behtreen banjayega,
●● Youngstars,aur Bacho ko apne Schools aur Colleges ki Pabandi ke saath Namazo ki bhi Pabandi karle to wo bhi Behtreen Bando me se hojayenge..Insha Allah.
Allah hame Haqq e Rab wa Haqq e malik e arzi Baja lane wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like