NA PAAKI ME QURBANI..?

Sawal :Asslamu alaikum moulisab sawal tah Na paaki ki halath mai bakra zubah karna kaisa hai
(Junaid Ali),
Jawab :Walikumassalal wa rahmatullah..
Qurbani dena ek Azeem ibadat hai,isko Jitni Paaki me di jaye to utna hi Sawab wa Barkat ka Sabab hai,agar Majboori ki soorat me Na paaki ki Halat me Allah ka Naam lekar Qurbani de to uski Qurbani to hojaygi Kyu ke Musalman Hamesha Batini Taur per Kalimah ki Barkat se Paak hi hota hai,Magar Paaki ki Halat me Jo Barkat Naseeb hone wali hai,wo Barkat se Mahroom rahega,
Aur Agar Susti Wa Kaheli ki Wajah se Na Paaki ki Halat me Qurbani de yani Janwar zubah kare to Wo Gunahgar hoga.
(Bahrur Raayiq,Vol/2).
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like