DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 475,Hadees No :2159,

 

Hazrat Abu Umamah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam)
ne farmaya : Haya Aur Mukhtasar Kalam Karna Eiman ke Shobo me se hai,aur Be Hayayi aur Ziyadah Baate Karna Nifaq(Munafiq) me ae hai.
(Vol/2,Hadees No :2159),
Dars : Haya : Kayi Qisam ki hoti hai,Haya Sirf Sharmane ka Naam hi Nahi hai,Balke Kamik Haya ye hai,ke Insaan ke Badan ka Har Hissah apna Haq ada kare aur Be Hayayi se Bache to tab hi Haya kamil haya hogi,
●● Badan ke Aaza aur Baato me Jab Haya ajaye to Insaan ka Dil bhi Haya Wala hojata hai,
Yaha tak ke Mard aur Aurate apne Istemal kiye jane wale kapdo ko bhi Khule maqam daalne se Bachna chahiye kyu ke wo bhi ghair Mahram keliye Shahwat ka sabab bante hain,aur Shaitani Waswase Janam lete hain,
■■ Mukhtasar Kalam yani Thodi Baate Karne se insaan ka Waqar Baqi rahta hai,aur Uski Baato me Hikmat paida hone lagti hai,aur Kam baat karne wala Gheebat aur Choghli se doosro ki Ba nisbat ziyadah mahfooz rahta hai,Jab insaan ziyadah baate karne lagta hai,to wo doosro ki Baghair Haqeeqat ke bhi tareef karne lag jata hai,aur Apne Kalam se Hikmat aur Asar ko Khatam karleta hai,aur Be hayayi Wali Baate to khud keliye aur doosro keliye bhi Zillat ka sabab hoti hai.
Allah ham sabko Haya aur Kam baat karne wala banaye…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like