NAMAZ ME AMAL E KASEER AWR HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Namaz me Amal e Kaseer(wo ziyadah kaam jo Namaz me hojaye) ki kiya Tareed hai ?
2) Namaz me Amal e Kaseer kitni baar Dohrane se Namaz fisid hoti hai ?

3) Rukoo se Uth te Waqt 2 Haath(Hands) se Kurtha Sahi karne se Namaz ka kiya hukm hai ?
(Maulana Bashir Saheb,Karnataka),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,

1) Amal e Kaseer ki Tareef :
Baaz Fuqaha ne Kaha ke ; Wo Kaam jo Namaz me kare Jisko sekhne Wala Ziyadah Samjhe to wo Amal e Kaseer hai.
Baaz fuqaha ne kaha ; wo Kaam jo Namaz me 2 Haat se kiya jaye to Amal e Kaseer hai.

2) Namaz me Koi Bhi Kaam(khujan..etc..) 3 baar kare to wo Amal e kaseer hai,
Us se Namaz Fasid hojati hai,

3) Rukoo me Uthne me 2 Haath Se Kurtha Sahi karne se Namaz Fasid Nahi Hoti hai,
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/270).

Plz..Share it For Free Islamic Service.

You might also like