NAMAZ ME ID CARD,AUR MOBILE KI RING..?

Sawal :Assalamualykum rehmatullahi wabarkatuhu
Mufti Sahab mere 2 sawal hai bare meherbani jawab innyat farmayaee
1) hum log office mai Jaha nmz padte hai toh waha pe hum log I’d cards bazu mai hang karke padte usme pic hoti hai humlog ki to kia pic waqirra side mai hoo ya kahin b rekh ke nmz padsakhte ya phir use chupa Lena behtaar hoga?
2) nmz mai agar phn silent na hoo or ring hoo to use off karna chahiyeee na to uske baad nmz phir se padna ka hukum hai Kia ?Agar use silent nahi kare ring hone dee toh kia sahi hai bare meherbani jawab innyat farmayaee
Jazakallah khair
(Ahmed Khan Naqshbandi),
Jawab :Walikumassalan wa rahmatullah..
Namaz padhte waqt apne id Card jo Tasveer(Photo) wale ho to unko kahi(Pocket,etc..me) chupa kar rakhna ziyadah behter hai,taake tasveer dikhne na paye,aur agar Right ya Left Side per Id card hang kare to is tarah latkaye ke taseer dikhne na paye,agar Tasveer dikhayi deti ho to Namaz makrooh hogi,kyu ke Namazi ke Saamne,Daye Janib (Right side) Baye Janib(left side) tasveer ka hona Namaz ko Makrooh kardeta hai.
(Fatawa Hindiyyah,Vol/1),
2) Namaz me agar Phone ki Ring Bajne lage to aysi Soorat me Ek Haath se Phone ya Ring Band karne ki ijazat hai,warna Saare Namaziyo ki Namaz me khalal hoga,aur Namaz me koi Farq Nahi hoga,kyu ke ye Jo Kaam Namaz ki Sudhar keliye ho aur wo Ek Haat se kare to Amal e Kaseer me Nahi ayega aur Baaqi Namaz Ko takmeel karle.
(Al Binayah,Vol/1),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like