DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 618,Hadees No :2473,

 

Hazrat ibne Abbas (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Bohat se Log 2 Cheezo ke Baare me Dhoke me pade huve hai,
1) Sehat(Health),
2) Faraghat (Free Time).
(Vol/2,Hadees No :2473),
Dars : Dunya ki Nemato me se Sabse Behtreen Nemat “SEHAT” hai,aur Bandeh ke Sehat per Hi Dunyavi aur Deeni Ahkamaat Nafiz hote hain,Jab Bandah Sehat Mand ho to Khade hokar Namaz padhna hai,aur Bandah Beemar ya Kamzor ho to Baith kar ya Lait kar Namaz padhna hai,jab ke Ibadat ek hi hai,Magar Sehat ke etebar se Hukm alag alag hogaya hai,
●● Sehat ko Ghaneemat hame is tarah karna Chahiye ke Har Lamha Allah ka Shukr kare aur Jaani,Maali,aur Badani ibadat ko Na Chode to insha Allah Sehat me Mazeed barkat hogi,
■■ Faraghat : Jab kabhi Farigh Waqt mile ya Kisi ke Paas apne Kaam se zayid waqt naseeb ho to us waqt ko Koi Ache Kaam,Ibadat Ya Allah wa Rasoolullah(sallallahualihiwasallam) ke Zikr me guzare,to Us waqt ka sahi istemal hoga,warna Ye Mobile to Hum Sabke Waqt ko Be Wajah hi kha jayega aur usko Zaay(Be Kaar) kardega,aur Us se Zahni pareshani aur Fikri Bigad ke Alawah kuch milne wala Nahi hai,
Haan,Agar Wahi Khaali Waqt Deeni,Moashrati wa Islahi Kaamo me guzare to 2 jahan me kamiyabi ka sabab hoga.
Allah hame Sehat aur Faraghat ko Ghaneemat jaan ne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like