DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : Gawahi, DAY : 617,Hadees No :2471,

 

Hazrat imran Bin Husain (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sab se Behtreeb Log Mere Zamaneh wale hain,Phir Uske Baad Zamaneh wale,Phir Uske Baad Zamaneh wale,is tarah teen baar apne farmaya,Uske Baad Aysi Qaum ayegi,Jo Mote(Fatty) honge aur Mote Hone ko Pasand karenge,Unse Gawahi Poochi bhi Nahi jayegi,to Wo Pooche baghir Gawahi bhi denge.
(Vol/2,Hadees No :2471),
Dars : Pahla Zamanah Sahaba e kiram(raziyallahuanhumajmayeen) ka Zamanah hai,Doosra Tabayeen Ka Zamanah hai,aur Teesra Tabe Tabayeen ka Zamanah hai,ye Teen Zamaneh wale Pakeezah Zahen wa Badan wale hai,jinke Khair(Behtreen) hone ki Khud Rasoolullah(sallallahualihiwasallam) ne Gawahi di hai,aur unke Baare me Bura kahna aur Bura Sonchna bhi “GUNAH E KABEERAH” hai,kyu ke isme Allah ke Rasool ke Qaul ki Be Hurmati Lazim ayegi,
Jaisa ke Aaj kal Baaz Jamat wale Ayimmah e Kiram aur Awliya e izam ke bare me Zuban ko lagam diye baghir kuch bhi kah dete hai,unko chahiye ke Pahle Hadees per Sahi Amal kare to saare Musalmano keliye Behter hoga aur ittefaq bhi baaqi rahega,uske Baghir ittrhad wa Ittefaq Na mumkin hai..!!
■■ Mote Hone ko Pasand karne wali qaum ka aap bhi shayad Mushahadah karliye honge,Jabke Seerat e Mustafa sallallahualihiwasallam se hame yahi pata chalta hai,ke Aap Bohat kam kahna khaya karte aur aapke Ghar kabhi me 3 Din tak khana nahi banta..
Allahu Akbar Kabeera..!!
To Mota Hona Bandeh ko Noqsan hi dega,Faidah to Zahni taqat me hai,Na ke Badan ke mote hone me,Motapa Zahen ko kamzor karta hai,aur Susti wa Kaheli ka sabab hota hai,
●● Pooche Baghair Gawahi : Yani Zaroorat Na bhi ho to Dunya ke Faideh aur Kuch Maal ki khatir apne Eiman ko Jhooti Gawahi se Sauda karlenge aur jhooti Gawahi denge,unke Paas Deen se ziyadah Dunya ki Ahmiyyat ziyadah hogi.
Allah hame Jhooti aur Jhooti gawahi aur Badani Susti se Mahfooz farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like