NAMAZ ME SURAH PADHNA BHOOL JAYE TO..?

Sawal:Assalamu alaikum. Mufti saheb,
Namaz k hawale se Kuc sawalat Karna plz mahrbani krk Jawab dijiyega.
Agar Namaz me hm kisi Rakat me sure parhna Bhul jaye toh Sajda h Sahu kese krege. ?
(Alfiya Alfiya),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Namaz me pahli 2 Rakast me Sureh fateha aur Zammah Surah(jo Surah yaad ho) padhna Wajib hai,agar koi bhi surah Choot jaye ya pahle zammah surah padhe aur Baad me surah fateha to aysi Soorat me bhi Sajdah sahu wajib joga,jo Aakhiri Rakaat me Qadah me Attahiyyat ke baad ”
Ash Hadu An La ilaha illallah Wa Ash Hadu Anna Mohammadan Abduhu Wa Radooluhu” kah kar Seedhi Janib salam phere phir 2 Sajdah kare phir Attahiyyat wa Durood e shareef wa Dua e masoorah padh kar 2 salam pher kar apni Namaz mukammal karle.
(Sharhul Wiqayah,Vol/1)
plz..share it to All,for more visit our islamic web site,,anwaarulislam,com.

You might also like