DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 423,Hadees No :2084,

 

Hazrat Abu Zarr Ghifari(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Neki ki Dawat dena aut Burayi se Rokna bhi Sadqah hai.
(Vol/2,Hadees No :2083),
Dars : Neki Dawat Dene me Sab se Ahem pahlu ye ho ke Dawat dene waka bhi Amal karne wala ho to Baat ziyadah Asar karegi,insha Allah,
Haan,Agar Amal kamil taur per Amal Na karta ho Magar Amal karne ki koshish karta ho to wo bhi Neki ki dawat de sakta hai,Bus Saamne wale ko Chahiye ke Nek Kaam wali Baat ko Dekhe Dawat dene wale ko Na dekhe,
Social Media per koi Deeni Baat ko Share karna bhi Neki ki Dawat me Shumar hota hai,
■■ Burayi se Rokna bhi Sadqah : Har wo Baat wa Kaam jis se Sab ko Noqsan ho to us se khud ko aur doosro ko bhi Rokna chahiye,agar Malum rakh kar bhi na roke to Khiyabatdar kahlayenge,Yaad rahe ke Burayi me Madad karna bhi bada gunah hai,aur ye Burayi se na rokne me shumar hoga,
Social media per Filmi songs,images etc…ko share karna aur like karna bhi Burayi me madad sabit is se sabko Bachna zaroori hai,warna ye qiyamat me Badi Museebat khada kardenge..
Allah hame bhalayi ki dawat aur Burayi se Rokne wala banaye..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like