DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ , DAY :186,

Hazrat Ibne Mirba Al Ansari(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) Maqam me Arafaat me Tahre huve the,aur Sahaba e Kiram(rizwanullahaihimajmayeen) ki Jamat bhi thi,aap ne Farmaya : Is Maqam per Apne Hosh Wa Hawas me Raho,aur Hazrat Ibrahim(alihissalam) ki Tareeqeh per chalo.
(Vol/1,H,No :892),
Dars : Yani is maqam ko Hazrat Ibrahim(alihissalam) se Nisbat hai,yaha aapki Dua Qubool huvi aur kayi waqiaat bhi wabastah hai,to Yaha per Khoob Dua maangna hai,
Dua se pahle apne Gunaho per Nazar dalna zaroori hai,aur Ro ro kar dua karna hai,
Kyu ke ye wo Maqam aur Yawme Arafah (9 Zulhajjah) wo din hai,ke jis din Allah ne Apne Mahboob Bando ki Duawo ko Qubool farmaya hai,lehaza ye Qubooliyat ka Din hai,Allah ki Khaas Rahmat Nazil hone ka Di hai,to phir Dua maangne me Kami wa Kotahi Nahi karni chahiye..

You might also like