DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : JANAZAH, DAY : 230,

 

Hazrat Jabir Bin Samurah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha, Ek Shaks Ne Khud Kushi (Sucide) karli,To Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne is Shaks ki Namaz e Janazah Nahi Padhayi.
(Vol/1,H,No :1089),
Dars : Yani Jo Log Allah ki Di Huvi Zindagi Ghalat Istemal aur Khatam karte hain,To wo Allah ki Rahmat se Door hojate hai,aur Doosri Ahadees e kareemah me aya hai,ke Jo Jis Andaaz me Apne Aapko Dunya me Khatam karta hai,to Marne ke Baad bhi Jahannam me Usko Wahi saza me Mubtala kiya jata hai,
■■ Ulama e Kiram ne Kaha hai,ke Ayse Shaks Ki Namaz e Janazah to Padhenge Kyu ke wo Musalman hai,
To Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ka Amal Zajr wa Rahmat ki doori se Aagahi karna tha,
●● Baaz Ulama ne Kaha,Ayse Shaks ki Namaz e Janazah Imam Na padhaye Balke Koi Doosra Shaks Padhaye,Take Doosro ko Sabaq Hasil hosake ke ye Imam ke Paas hi Maqbool Nahi hai,to Phir Allah ke Paas kise Maqbool Hosakta hai..?? Hargiz Nahi hosakta …Allah sab ko Mushkilo me Sabr ata kare…Ameen.

You might also like