NIKAH KE BAAD WALIDAIN SE ALAG HONA !!!!!!!!

Sawal ;Asslamu Alekum Mufti Sahab

Ek Sawal Pliz 

Bivi agar apane shohar se kahe ki apane ma bap chhod do hum alag rahenge aur ladaka apani bivi ka sunkar apane ma bap ko chhod de to us ladkeka aur us bahu ka kya hashar ho ga is ki koi hadis mojood ho to Bataye to maherbani hogi /
(Muslim salonki),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Ye hamare moashreh me aam horaha hai,ke Ladke shadi ke baad maa baap ko Bivi ke kahne per chod ke chale jate hai,bivi kahti hai,ke hamare kharche ziyadah horahe hai,etc,,,kayi choti baato ka bahana banati hai,lehaza ham mil kar nahi rah sakte lehaza alag hojate hai,kahke wo “maa baap” ko chod kar chale jate hai,kaash ??????/!!!!!!!!! wo thodi der keliye yaha ruk ye kyu nahi sonchte ke jab ham chote the awr hamare saath hamare bhai bahene bhi the to kabhi ye nahi kaha ke baccho ki wajah se kharche badh rahe hai,lehaza ham inko chod kar kahi chale jaye,,!!!!!!!!!!!!!!!! soncho agar wo hamko bachpan me hi chodkar chale jate to aaj ham ” LA WARISO ” ko zindagi guzarte hote,lekin unhone apne mooh ka niwalah bacha kar hamara peth(stomuch) bhara hai,to hame chahie ke ” WALIDAIN” ke EHSAANAAT ko na bhoole,,,unko budhape me ” LA WARISO'” ki tarah na chode warna jannat se mahroom hojayenge,,jaise ke hadees me aya hai,ke Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Halak hogaya wo shaks (3 martabah aapne farmaya) poocha gaya koun ya raoolallah ? farmaya : Wo shaks jo apne walidain ko Budhape me paya awr unka saath chod diya ,to wo kabhi bhi ” JANNAT” me dakhil nahi hosakta !!!!!!
(Zujajat ul Masabeeh,vol/4,pg/88),
Note : Haan agar walidain kisi maslihat se alag hone ko kahe to unki ijazat se hosakte hai,

plz,,read and share it.

You might also like