NIKAH KI MUBARAKBADI KAB DE..? **

 

Sawal : Assalamualaikum,Mufti saheb,
Ek sawal tha?
Q) nikha attend karna zaruri hai kya?
Q) ya fir nikha hone k baad ja k mil le sakte?
(Mohammed Rizwan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Nikah me Hazir hokar Mubarak Baad dena aur Nikah hone Baad Mubarakbadi dena Dono Mustahab hai,
Magar Jabke Nikah ki Mahifil me sab Shamil rahte hai,aur Sunnat ki Adayigi ke Mauqeh per Fariahto ki Rahmat wa Barkat ki Dua Nazil hoti rahti hai,har taraf Khushiyo ka Mahol hota hai,to Nikah ke waqt Nikah ki Mahfil me Hazir hokar Mubarak Badi dena Adaab me se hai,aur Aur wo Aqal ke Bhi ziyadah Mauzoo hota hai,jabke Mahfil me Shareek hobe se Dilo se Boghz wa Adwat door hoti hai,aur Mohabbat Do bala hojati hai.
Haan,Agar koi Zaroori kaam se rah gaye ho to Majboori me Baad me bhi Mubarakbadi de sakte hai.
(Mishkat ul Masabeeh,Vol/1),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like