DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 434,Hadees No :2098,

 

Hazrat Safwan bin Sulaim (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Nek Kaam Sadqah hota hai,yaha tak ke Apne Bhai se Muskurate huve milna Bhi Sadqah hai,aur Apne Bartan ka Paani Bhai ke Bartan me dalna(Madad karna) bhi sdqah hai.
(Vol/2,H,No :2098),
Dars : Har tarah ka Muskurana Sadqah Nahi hota hai,Balke Dil se muskurana hi sadqah hota hai,kyu ke Aaj kal Artificial Muskurana hi ziyadah hogaya hai,Natural Muskurana to sirf Wahi Muskura sakta hai,jiske Paas Bada Dil ho aur Raham se Bhara Pada ho Kyu ke Dil se Muskurna bhi Badi Nemat hai,jis se Bandeh ke Gunah khatam hote hai,aur Dilo me Mohabbat paida hoti hai,
●● Insan ki Doosre Insaan se Mohabbat ki Pahchan,Aur Dawat ki Jaan,Dosti ki Shaan “MUSKURAHAT” hai,iske Baghair Sab Adhura ye Ek Aysa Sadqah wa Neke hai,ke Jisko karne keliye WAZU aur WAQT ,QIBLAH KE RUKH,etc…ki koi Qaid Nahi Bus Dil se Muskuravo aur Nekiya Pavo….
■■ Husne Akhlaaq ki Pahli Pahchan Muskurake Milna hai,Tijarat me Kamiyabi ka Raastah Muskurake ke Moamlah karna hai,Yaha tak ke Dilo pe Raaj karne ka Noskhah bhi Muskurahat hi hai,
Allah hame Dil se Muskurane wala Banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like