DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 435,Hadees No :2102,

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Cheez Bandeh ko Aibdar wala banade to wo Be Hayayi hai,aur Jo Cheez Bandeh ko Zeenat de to wo Paak damani hai.
(Vol/2,H,No :2102),
Dars : Be Hayayi ka Matlab Bandah Achi aur Buri Cheez me Farq karna Bhool jaye,to samjho us Bandeh me Be Hayayi aagayi hai,Sirf Badan ko Be Pardeh ka Naam hi be hayayi Nahi hai,Balke Dil ka Be Qabu hojana bhi Be Hayayi me se hai,
●● Her Achi Sifat Bandeh ko Zeenat deti hai,aur usko Paak Daman banati hai,lehaza kisi bhi Achi Sifat wa Aadat ko Chodna Nahi chaahiye..
Allah hame Be Hayayi se Mahfooz kare aur Haya Naseeb kare…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like