QARZ SE AQEEQAH KARNA ?
Assalamualaikum mufti sahab ,
Mera sawal agar AQIQHA Karne ki estetat nahi hai to shariyat mein is ki Kya ijazat hai.
Agar koi AQIQHA Karne ke liye PAISAON ki madad kare bad mein laota sakte Kya issey AQIQHA hojata Kya
Jawab inayat farmayega
Jazak Allah khairan ?
(Mohammed Waseem ),
Jawab :Walikumassalam warahmatullah..
Aqeeqah karna Sunnat hai,agar koi Bacho ka Aqeeqah karne ki taqat Nahi rakhta ho to usper Aqeeqah karna Zaroori Nahi hai,aur Qarz Lekar Aqeeqah karna Nahi hai,agar Qarz lelar kare to hojata hai,magar aysa karna zaroori Nahi hai,Deen Aasan hai,usko Aasani se hi Amal karna Chahiye,
Haan,Jab Baad me Maal(Paisa) ajaye to zindagi me kabhi bhi Aqeeqah karsakte hai,Bachpan me hi karna zaroori Nahi hai,Balke wo Sunnat hai.
(Jamiut tirmizi,Vol/2),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.