DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 573,Hadees No :2388,
Hazrat Abu Bakrah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Allah ke Muqarrar kiye huve Sultan ko Zameen me Haqeer Samajhta hai,to Allah usko Zaleel kardeta hai.
(Vol/2,Hadees No :2388),
Dars : Sultan ko Ameer bhi kahte hai,jiski 2 qisme hoti hai,
1) Sultan jo Ameer ya Malik hota hai,iska Talluq musalmano ke Moashrsti wa Nizami e Shaher wa Awam se hota hai,
2) Sultan Jo Musalmano ki Namazo ka Imam hota hai,yani Masjid ke imam saheb,
Ab pahle wale Sultan ki bhi Tazeem wa Ehter am karna hai,aur Doosre Sultan yani Imam e masjid ki tazeem karna Bhi zaroori hai,ab to Pahle wale Sultan ka utna ziyadah daur baaqi hi nahi hai,to hum doosre sultan ki kaha tak izzat karte hai,uska khud hi Hisab karna hoga,
●● Masjid ke Imam Saheb ka Gunah…??!
Baaz Logo ki Nigaho Masjid ka Imam Agar Nayi Bike ya Car khareede ya Ek New home bhi Khareed le to Wo ayse Baate karne lag jate hain,ke Kahi imam saheb ne Koi Gunah e Azeem to na kardala,unko dekha Nahi jayega,tanqeed karna Shuru kardenge,masjid ke Baher yahi Topic etc…To wo Qaum jo Apne Imam ko hi Miskeeni ki Halat me dekhna Chahti hai,to Wo Qaum kiya taraqqi karsakti hai…!!!!
Ab Rahi wo Log Jo Imamo ki Tazeem wa Ehteram karte hain,aur unka Khayal rakhte hain,to Wo Hamesha Khush Haal aur Mutmayin rah kar zindagi guzarte hain,Allah ayse Logo ko Din Raat Taraqqi Naseeb farma aur jo Is Raasteh per Na ho unko Nek Taufeeq Naseeb farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.