DARSE JAMIUT TIRMIZI،CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 572,Hadees No :2383,

 

Hazrat imran Bin Husain (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sab se Behtreen Zamanah Mera Zamanah hai,Phir uske Baad wala Zamanah,Phir uske Baad Wala Zamanah Behter hai,uske Baad aane wale Zamaneh me Log Mote(fat) Hone lagenge aur wo Motape ko pasand karenge,Sawal karne se pahle hi Jhooti Gawahi denge.
(Vol/2,Hadees No :2383),
Dars : is Hadees e paak me Zamanah kahne se Murad Zamaneh wale hain,aur Pahla Zamanah To Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ka Sunahra Daur hai,Phir Tabayeen e kiram(rizwanullahialijim Ajmayeen) ka daur hai,phir Tabe Tabayeen ka daur hai,uske Baad aane walo ka daur hai,jisme Sharr pahlega..etc..
■■ Qiyamat ke qareeb Logo me Motapa Pahlega yani log Ziyadah Lazeez khane pasand karenge,Daster pe Hama Qisam ke Khano ka rivaj aam hoga jaise aaj Dawato aur Shadiyo me Dekhne me aara ha hai,Achi Ghiza Khana Bura Nahi hai,Magar uske Aadi hojana Munasib Nahi hai,jis se insaani Shahwat aur Susti ka izafah hota hai,aur Ibadat me khushu bhi Baaqi Nahi rahta hai,
Kaash hum Musalmano me ye Mukhtalif Qisam ke Khano ka Rivaj Na hota to aaj kayi Ghareeb wa Miskeen Ladkiyo ki Shadi bhi Aasan Sunnati Tareeqeh per hojati,Kaash aysa hota..!!?
●● Hum Khano pe Tawajjuh dene lag gaye aur Ghair Taleem wa Fann me aage badh gaye jiski wajah se wo Aaj har maidan me aage hain,aur Hum peeche rah gaye Wajah hamari Zindagi guzarne ka tareeqah hi hai,iske zimmahdar hum hi hai,islami Tareeqeh ko Chod kar dunya ke tareeqeh per chalne lag gaye jiski wajah se ye Natayij hai,
■■ Aaj Har koi Mote hone ko pasand kar raha hai,jiskeliye Kayi tareeqeh apna raha hai,jabke ek din wo Jism Mitti hi me milne wala hai..?
Allah hame Khair ke raasteh per Qayim rahne ki taufeeq ata farma…Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like