QURBANI KE GOSHT KI TAQSEEM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Qurbani ke Gosht ki Taqseem ka kiya tareeqah hai,bataye to badi maherbani hogi ?

(Mohammed Ahmed Khan Naqshbandi),

Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,

Qurbani ke Gosht Ko 3 Hisso me Taqseem karna MUSTAHAB hai,

1 Hissah Ghareebo me,

2nd Hissah Rishtedaro me Taqseem bhi karsakte ya Unko Dawat dekar Khila bhi sakte hai,

3rd Hissah Apne Istemal keliye Rakh le to ye Mostahab hai,

Note : agar Qurbani dene wala Poora(total) Gosht bhi rakhna chah raha ho to rakh sakta hai,aur agar saara gosht ghareebo me taqseem karna chah raha ho to wo taqseem karsakta hai,us se qurbani per koi asar Nahi hoga,uski Qurbani hojati hai.

(Al Hidayah,Vol/7,Pg/173)

You might also like