AQEEQAH KA TAREEQAH,AUR DUA

Aqeeqah ke Lafzi Meaning :  Azad karna hai,to Awlaad ka Aqeeqah karke Jo Sar ke Baal(Hairs of Head) Monde jate hai,us se Bacha(male) ya Bachi(female) ke Sar ki Takleef se Aazadi milti hai,

Aqeeqah ki Tareef : Baccha ya Bacchi Paida hone ke Baad uske Janib se Janwar Zubah karke Sar ke Baal Nikalne ka Naam Aqeeqah hai.

(Jamit Tirmiz,Vol2,H,No/1605)

Aqeeqah ka Hukm: Aqeeqah karna Sunnat hai.           (Jamit Tirmiz,Vol2,H,No/1605)

Aqeeqah ka Waqt: Baccha Paida hone ke Baad 7 we Din Aqeeqah karna hai, agar Jab Na hosake to 14 we Din agar Jab Na hosake to 21 we Din Aqeeqah karna hai,aur agar 21 we din bhi Na hosake to zindagi me Kabhi bhi Aqeeqah karsakte hai.

Aqeeqah keliye Kitne Janwar : Ladke(Male) Keliye 2 Bakre,aur Ladki keliye 1 Bakra Dena hai,

(Jamit Tirmiz,Vol2,H,No/1595)

aur agar koi Sirf Ek hi Janwar ki Taqat Rakhta ho to Ladke ki janib se 1 Bakra se Bhi Aqeeqah hojata hai,aur agar koi Ek janwar ki bhi taqat na rakhe to us per AQEEQAH karna Zaroori Nahi hai,aur isme Bakri se bhi aqeeqah karsakte hai,

Ladke ke Aqeeqah ki Dua : اللٰھم ھذہ عقیقة اابنی (یہاں لڑکے کا نام لے) دمھا بدمه ولحمھا بلحمه وعظمھا بعظمه وجلدھا بجلدہ وشعرھا بشعرہ،اللّٰم تقبلھا منی واجعلھا فداء لابنی من النار۔

ALLAHUMMA HAZIHI AQEEQATU IBNI(Yaha Ladke ka Naam lena) DAMUHA BI DAMIHI WA LAHMUHA BI LAHMIHI WA AZMUHA BI AZMIHI WA JILDUHA BI JILDIHI WA SHA’RUHA BI SHA’RIHI ,ALLAHUMMA TAQABBALHA MINNI WA IJ ALHA FIDA AN LI IBNI MINAN NAAR.

Ladki ke Aqeeqah ki Dua:

اللٰھم ھذہ عقیقة اابنتی (یہاں لڑکی کا نام لے) دمھا بدمھا ولحمھا بلحمھا وعظمھا بعظمھا وجلدھا بجلدھا وشعرھا بشعرھا،اللّٰم تقبلھا منی واجعلھا فداء لابنتی من النار۔

ALLAHUMMA HAZIHI AQEEQATU IBNATI(Yaha Ladki ka Naam le) DAMUHA BI DAMIHA WA LAHMUHA BI LAHMIHA WA AZMUHA BI AZMIHA WA JILDUHUA BI JILDIHA WA SHA’RUHA BI SHA’RIHA ,ALLAHUMMA TAQABBALHA MINNI WA IJ ALHA FIDA AN LI IBNATI MINAN NAAR.

Note : Agar Baap hi zubah kar raha ho to isi tarah dua padhe aur ibni ki jagah Ladke ka naam le,Ibnati ki jagah Ladki ka Naam le,

Aur Agar Baap ke alawah koi aur zubah kare to Ibni ya ibnati ki jagah Ladka ya Ladki ka Naam uske Walid ke Naam ke saath lena hai,Taqabbalha Minni ki jagah Unka Naam walid ke Naam se lena hai,aur fida an li ibni ki jagaha Li ibnihi kahe,agar ladki ho to li binte Fulan yani us ke walid ka Naam lena hai,

Phir Bismillah wa Allahu Akbar Kahkar zubah kare…

Jab Aqeeqah ka Janwar zubah karde to Bacche ke Baal utar (mundwa) de,Phir Baalo ko Sona(Gold) ya Chandi(silver) se Tol le ,Baalo ko Zameen me dafan karde aur Sona ya Chandi ko Ghareebo me Khairaat karde,aur Agar Naam Na rakhe Ho to ab Naam bhi rakh de to behter hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,H,No :1602)

Aqeeqah ka Gosht : Is Gosht ke 3 Hisseh kare,,1 Hissah Gharoobo me Taqseem kare, Doosra Hissah Rishteh daro aur Teesra Hissah Apne Liye rakhe to Mustahab hai,aur Agar Is gosht se Dawat ka Ehatemam karne ki bhi ijazat hai,

iska Gohst Khandan me DadiyaL aur Naniyal wale sab kha sakte hain,aur is jawnar ki Haddiya(Bones) Tod bhi sakte hai,aur Kha bhi sakte hai,koi Mana Nahi hai,

You might also like