DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :HAJJ, DAY :183,

Hazrat Jubair Bin Mut’im(raziyallahuanhu) se Rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam)

ne farmaya :Aye Makkah walo Jo Bhi Baitullah Ka Tawaf kar raha ho to usko Tawaf Se Mat Roko,aur Jo Yaha kisi bhi waqt Namaz padhna Chahe to usko Namaz se Mat Roko.
(Vol/1,H,No :877),
Dars : Shahreh Makkah Ibadato Ka Maqam hai,to is Maqam per Har Jagah Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) aur Sahaba e Kiram(rizwanullahialihimajmayeen) se wabastah kayee Ibadati,aur tareekhi Goshe Maujood hain,to yaha jis Maqam per Bhi Bandah Namaz,Zikr,Durood,aur Dua karna chahe to karskata hai,aur Aysa karna bhi chahiye,isliye to yaha Aysa karne walo ko Rokne bhi Hadees me Mana kiya gaya hai,
■■ Magar Aaj Afsos ki Baat hai,Ke Makkah me Har Jagah Baaz log sirf Isiliye Khade kiye jate hai,ke Koi Bandah kisi Moqaddas Maqam per Nafil padhe ya Dua kare to usko “SHIRK” SHIRK” kah kar rok dete hai…!!!!
Jo ke Islami Taleemat ke Bikul Khilaf hai,aur Unko Aakhirat me Jawab bhi Dena hai..
Allah unhe Nek Taufeeq ata kare..Ameen.

You might also like