DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : HAJJ, DAY :178,

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Halat e Ahram me HAMLHA KARNE WALA BHEDIYA,KAATNE WALA KUTTA,CHOOHA(Rat), BICCHU(Scorpio),KAWWA,CHEEL(Eagle) Inko Maarne ki Ijazat hai.
(Vol/1,H,No :848),
Dars :Hajj karne wale Ya Umrah karrne wale ko In Janwaro aur parindo ke Alwah jo Zahreele ho,aur jinke Hamleh se Jaan ka Qatrah ya Noqsan hota ho to unko bhi marne ki ijazat hai,
Haan,Jin se kuch Noqsan Na ho to Unko Haram Shareef me aur Halat e Ahram me Marne se Mana kiya gaya hai.
Yahi islam ka insaf hai,jisme sab keliye Bhalayi hai.

You might also like