RAAKHI BANDHNE KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Kiya islam me Raakhi Bandhne ki ijazat hai ?
(Mohammed Tanveer Ali),
Walikumassalam wa rahmatullah,
Haath me Raakhi Bandhwana ye Ghair Muslimo Ka Tareeqah hai,aur usko Bandhne se uske Bhai ka Saal Bhar Salamat rahna unka Aqeedah hai,to Is Raakhi Bandhan Ghairo ka Tehwaar hai,to iska Ehtemam karna Jayiz Nahi hai,aur is tarah ka aqeedah rakhna bhi Ghalat hai,
Kyu ke Hadees me Aya hai,ke jo jis Qaum se mushabahat karega to wo un hi me se hojayega.
(Mishkat ul Masabeeh,Vol/1),
Haan,Baaz Mulk aur Maqamaat ayse hai,ke jaha Musalman aur Ghir Muslim milkar rahte ho,aur Waha Office ya Doosre idaro me Koi Ladki kisi Musalman ke Akhlaaq ki ya kisi aur Sifat ki wajah se Usko Bhai Tasawwur karti ho,aur ayse mauqeh per usko Raakhi Bandhna Chah rahi ho,aur agar ye musalman ke inkaar se moamlaat bigadne aur Dilo me khalish aane ka andesha ho to Aakhir Had tak ye shaks Us se Bachne ki koshish kare ,phir bhi koi Raastah Na nikle to Dil me usko Na Pasand karte huve usko Haath me lele,aur phir usko Kahi Dal de to koi Haraj Nahi hai,

Plz..Share it to All,& For More islamic Services Visit our Web site.

You might also like