DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER: SALAH, DAY:164,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Jab Tum me ka koi Acchi Tarah Wazoo Bana kar Masjid Ki Taraf Namaz ki Niyyat se Nikalta hai,to Allah uske Har Qadam ke Badleh Ek Darjah Buland Karta hai,aur Ek Gunah Mita deta hai.
(Vol/1,H,No:606),
Dars :Ye Masjid ki bhi kiya shan hai,ke bus Bandah uska iradah bhi karleta hai,to Allah nekiyo ki barish us per barsata hai,jab ke bandah abhi neki bhi nahi kiya hai,masjid me ibadat bhi Nahi kiya hai,lekin sirf iradah kiya hai,phir bhi Allah us iradeh per ek ek qadam ke badleh Neki aur Gunah ki Maafi..!!
ALLAHU AKBAR KABEERA….
To Malum huva ke Masjid se Ta’alluq rakhne se Allah ki Rahmat bhi Milti hai,aur Barkat bhi,
Afoso..Aaj Hum Masjido se Door hogaye !!jiski wajah se hamare Gharo aur zindagiyo se Barkat bhi Khatam hogayi hai,to hame chahiye ke Allah ke Ghar se hamesha wabastah rahe..
Share it to All,& For more islamic Services Plz.Visit our Islamic Web Site.

You might also like